MERI dua Hai Ke Aap 2010 Ke 12 Mahine Khush Raho , 52 Haftay Muskurate
Raho , 365 Din Aap Par Khuda Meharban Rahe , 8760 Ghante Qismat Aap Ka Sath
De, 525600Minutes Kamyabi Aap Ke Qadam Choome Aur , 31536000 Seconds Meri
Duayen Aap Ke Sath Rahein , ( ALLAH-E-AAMIN ) .
Khuda Wo Hai Jo Qatre Ko Faiz-e-aam Kre . Nabi Wo Hai Jo Khuda Ka Intzam
Kre . Kaba Wo Hai Jise Sajda Har Khas-o-aam Kre . Ali Wo Hai Jise Kaba Khud
Salam Kre . Fatima Wo Hai Jis Ka Nabi Khare Ho Kar Ehtram Kre . HASSAN Wo Hai
ALLAH Janat Jis Ke Naam Kre , HUSSAIN Wo hai Jo Sar Kta Kr Bhi Neze Par kalam
Kre , ABBAS Wo Hai Jise Wafa Khud Salam Kre , (AUR) , MOMIN Wo Hai Jo Karbala
Ke Zikir Ko Aam Kre .
Kehte Hein Baray Fakhar Se Hum Gham Nahi Kerte . Maatam Ki Sada Sunte
Hain Maatam Nahi Kerte . Wo Log Bhala Samjhen Ge Kiya Raz-e-Shahadat . Jo Eid To
Kerte Hain Muharam Nahi Kerte . Kiun Aap Ka Dil Jalata Hai Kiun Jalata Hai Seena .
Hum Aap Ke Seene Pe Tp Maatam Nahi Kerte . Mohsin Ye Maqbool Riwayat Hai
Jahan Mein . Qaatil Kabhi Maqtool Ka Maatam Nahin Kerte .
Zulam Ke Khilaf Jitni Dair Se Utho Gay Utni Hi Ziada Qurbaniyan Deni Paregi .
Zinda Rahna Bazat-e-Khud Ek Zulam Hai . ( HAZRAT HUSSAIN a.s ) .
Ay Mohsin-e-Azam Tera Dam Bharty Rahen Gy , Matam Tera ALLAH Ki Kasam
Karty Rahen Gy , Tu Lakh Shopy Pardy Mein Ay Rooh-e-Yazidi , Lanat Teri Tasweer
Py Hum Karty Raheen Gy , ( Salam Ya HUSSAIN ) .
Achay Logon Ki Eik Khubi Ye Bhi Hoti Hai Ke Unhain Yaad Rakhana Nahi
Parta Wo Yaad Reehe Jate Hein . ( HAZRAT ALI a.s ) .
Hadees-e-Pak "ALLAH Ko 3 Amal Boht Pasand Hein Sub Se Pehla "
" SHUKAR Karna " Or Phir " Dua Karna " Or Is Ke Baad " Astaghfaar Karna " .
(7)Ke Hindsay Mein Shayed Koi Khas Hikmat Hay Ke ALLAH Rabb-ul-Izzat
Nein. (7) Zameny , (7) Aasman , Hafty Mein (7) Din , Quran Pak Mein (7) Manzilyn ,
Barry-Aazam dunya Ke (7) , Qos-o-Qazah Ke (7) Rang , Tawaf-e-Kaaba Ke (7)
Chakkar , Hajj Mein Shetan Ko (7) Kankriyan , Surat-e-Fatiha Mein (7) Aayat .
(5) Jaga Hasna 25 Baar Zinah Karne Ke Brabar He , (1) Qabristan Mein ,
(2) Janaza Ke Pichy , (3) Ulma Ki Majlis Mein , (4) Tilawat-e-Quran Pak Mein ,
(5) Masjid Mein .
No comments:
Post a Comment